Song: Humsafar


Movie: Badrinath Ki Dulhania
Singers: Akhil Sachdeva, Mansheel Gujral
Sun zaalima mere
Saanu koi dar na
Ki samjhega zamaana
Tu vi si kamli
Main vi sa kamla
Ishqe da rog sayana
Ishqe da rog sayana..

Sun mere humsafar
Kya tujhe itni si bhi khabar
Sun mere humsafar
Kya tujhe itni si bhi khabar
Ki teri saansein chalti jidhar
Rahunga bas wahin umrr bhar
Rahunga bas wahin umrr bhar, haaye

Jitni haseen ye mulakatein hain
Unse bhi pyari teri baatein hain
Baaton mein teri jo kho jaate hain
Aaun na hosh mein main kabhi
Baahon mein hai teri zindagi, haaye

Sun mere humsafar
Kya tujhe itni si bhi khabar

Zaalima tere ishq 'ch main
Ho gayi aa kamli.. haaye..

Main toh yun khada
Kis soch mein pada tha
Kaise jee raha tha main deewana

Chhup ke se aake tune
Dil mein samaa ke tune
Chhed diya kaisa ye fasaana

O… muskurana bhi tujhi se seekha hai
Dil lagane ka tu hi tareeka hai
Aitbaar bhi tujhi se hota hai
Aaun na hosh mein main kabhi
Baahon mein hai teri zindagi, haaye!

Hai nahi tha pata
Ke tujhe maan lunga Khuda
Ki teri galiyon mein iss qadar
Aaunga ab har pehar...

Sun mere humsafar
Kya tujhe itni si bhi khabar
Ki teri saansein chalti jidhar
Rahunga bas wahin umrr bhar
Rahunga bas wahin umrr bhar, haaye